dar dariche ke bina aur kisi chhat ke baghair

By aamir-azherOctober 4, 2024
dar dariche ke bina aur kisi chhat ke baghair
hum tere shahr mein sakin hain sukunat ke baghair
jang aisi hai abad tak bhi rahegi jari
masala hal nahin hona hai qayamat ke baghair


khamushi jism pe chadhti hai hararat ki tarah
roz ek shor utarta hai 'alamat ke baghair
sath mein yar bhi ho aur phir itwar bhi ho
baat banti nahin cigarette ki ri'ayat ke baghair


yar kaise na ho mera ki mera yar mujhe
har tarah se hai qubul aur wazahat ke baghair
dhyan rakhna ki ye lahja hai hamara lahja
pur-asar ho nahin sakta hai mohabbat ke baghair


kaam aisa hai ki karna hi padega 'amir'
chahe teshe ke bina ho ya riyazat ke baghair
20796 viewsghazalEnglish