dar-e-KHairaat pahle khol dena

By hairat-allahabadiJanuary 12, 2022
dar-e-khairaat pahle khol dena
mere hathon mein phir kashkol dena
haqiqat ko qalam se tol dena
na afsane mein koi jhol dena


jo dil mein hai wo sach sach bol dena
hamare raaz sare khol dena
na jab jurat ho goyai ki lab ko
zaban-e-chashm hi se bol dena


thaka manda jo main lautun kahin se
to darwaze ki kundi khol dena
pata kuchh aur deta hai khirad ko
junun ka dasht mein par tol dena


hawa aai hai mazi ke chaman se
dariche dil ke sare khol dena
mere aansu tere daman ke moti
nahin mumkin hai jin ka mol dena


main sun lun teri kadwi guftugu ko
mere kanon mein amrit ghol dena
meri aankhon ko ye fan aa gaya hai
tere daman mein moti rol dena


86682 viewsghazalEnglish