dar-e-mai-kada hai khula hua sar-e-charkh aaj ghata bhi hai chale daur-e-saqi-e-dilruba ki chaman mein raqs-e-saba bhi hai gham-e-zindagi sahi jaan-gusil magar is se koi bacha bhi hai yahi gham hai raaz-e-nashat-e-dil yahi zindagi ka maza bhi hai yahi zakhm-e-dil jo nasib hai yahi soz-e-dil ka naqib hai ye mere khulus ka rang hai kisi naznin ki ata bhi hai hai meri nigah mein sirf tu kisi aur ki nahin justuju tere iltifat ki aarzu teri be-rukhi ka gila bhi hai mujhe kya udaenge baal-o-par ki qafas mein umr hui basar main riha hua bhi kabhi agar to rihai meri saza bhi hai meri dastan bhi ajib hai ye kisi kisi ka nasib hai kahin zikr-e-baad-e-sumum hai kahin zikr-e-mauj-e-saba bhi hai na tu uzw-e-jah pe fakhr kar ki ye zindagi to hai ek safar tujhe kya khabar are be-khabar dabe panw pichhe qaza bhi hai jo bahaar fasl-e-shabab thi wo misal-e-abr guzar gai nahin zindagi mein koi khushi ki khilaf mere hawa bhi hai wo ba-zoam-e-husn hain khud-nigar to mujhe bhi naz hai ishq par main niyaz-mand sahi magar mujhe 'soz' pas-e-ana bhi hai