dar-e-qafas tak jaane dena

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
dar-e-qafas tak jaane dena
itni daud lagane dena
patli gardan buri lagegi
goli se mar jaane dena


pichhli bench ka bachcha hai dil
is ko hath uthane dena
tum kho jaana raqs mein apne
mera sar chakrane dena


pyas bujha kar wapas aana
suraj ko dhamkane dena
yaad kisi ki kaun sagi hai
marti ho mar jaane dena


95128 viewsghazalEnglish