dar-e-ummid wa nahin hota
By hairat-farrukhabadiOctober 31, 2020
dar-e-ummid wa nahin hota
ab wo jalwa-numa nahin hota
kitni pur-lutf zist hoti hai
jab koi aasra nahin hota
aankh se gir gaya ho jo aansu
wo kisi kaam ka nahin hota
khud gareban mein jhank kar dekha
koi insan bura nahin hota
tu sabhi ka hai ek hamare siwa
hum se bas ye gila nahin hota
wahi hota nahin jo hum chahen
warna hone ko kya nahin hota
jaan kar main khamosh hun 'hairat'
mujh se us ka gila nahin hota
ab wo jalwa-numa nahin hota
kitni pur-lutf zist hoti hai
jab koi aasra nahin hota
aankh se gir gaya ho jo aansu
wo kisi kaam ka nahin hota
khud gareban mein jhank kar dekha
koi insan bura nahin hota
tu sabhi ka hai ek hamare siwa
hum se bas ye gila nahin hota
wahi hota nahin jo hum chahen
warna hone ko kya nahin hota
jaan kar main khamosh hun 'hairat'
mujh se us ka gila nahin hota
64005 viewsghazal • English