dar pe chadh ke jo tajdid-e-wafa hoti hai is shahadat pe to sau jaan fida hoti hai jin ko dawa-e-khirad ho zara aa kar dekhen ishq ki rah bahut hosh-ruba hoti hai dard mein dubi nigahon ki zaban hai goya aur baaton se go ye baat juda hoti hai husn jab soz-e-mohabbat se jila pata hai kya tajalli pas-e-fanus-e-wafa hoti hai un hasin aankhon mein hai hasrat altaf-o-karam dil hi jaane ye qayamat ki ada hoti hai phul ke dida-e-pur-nam ka ye anjam ba-khair pattiyan jhadti hain shabnam bhi khafa hoti hai subh tak haal-e-dil-e-zar pe ro lo 'akhtar' is ghadi dard ke maron ki dawa hoti hai