dar pe hain log yun meri laghar si jaan ke kutte hon jaise aah mere ustukhwan ke zahid sambhaaliye yahan dastar-e-mo'atabar bachche sharir hote hain pir-e-mughan ke ek chand hai ki jaan na paya hamein kabhi tare to warna jaante hain aasman ke tare to hum samajhte hain khud ko yahan magar mitti ke putle hain sabhi hum khak-dan ke 'hawi' ke main kalam ki tarif kya karun khadim hain bas janab wo urdu zaban ke