dara dara ke wo mujh ko baghi bana raha hai hukumaton ke liye tabahi bana raha hai jawan dilon par ghamon ke tale lage hue hain aur ek wo budha khushi ki chabi bana raha hai sabhi ke hathon mein phone hai par qalam nahin hai umid le kar koi siyahi bana raha hai teri mohabbat se pahle darpok shahri tha main tera nasha to mujhe sipahi bana raha hai main us ka raja hun bachpane se par us ka abba use faqiron ke ghar ki rani bana raha hai khabar hai phaili ki tujh ko model hai bhate tab se har ek bachcha nagar mein body bana raha hai tu us ki aankhon ko dekh kar hi samajh le 'jawwad' wo sach chhupa kar faqat kahani bana raha hai