Dara na mujhko bahut mere aasman mujhe
By khatir-hafiziOctober 9, 2023
dara na mujh ko bahut mere aasman mujhe
main musht-e-khak sahi kam se kam ye jaan mujhe
safar tawil tha kitna ye kya kahun ai dost
thaka hua hun bahut hai abhi takan mujhe
khutut jism ke shishagari se badh kar hain
bula rahi hai takhayyul mein ek dhalan mujhe
tumhaara gham jo hai sare ghamon ka dibacha
bana gaya hai haqiqat mein ek chatan mujhe
zara sa aab hawa tak bigad sakti hai
mila hai khak ke parde pe wo makan mujhe
mera shu'ur ho pukhta mera qalam taza
'ata kare jo khuda dard ki zaban mujhe

48627 viewsghazal • English