dararen baam-o-dar ki paDh rahe hain
By fahmi-badayuniFebruary 26, 2024
dararen baam-o-dar ki padh rahe hain
kitaben apne ghar ki padh rahe hain
kahani to safar ki padh rahe hain
haqiqat rahguzar ki padh rahe hain
labon par hai qasida aasman ka
kharashen baal-o-par ki padh rahe hain
bichha kar apna chehra aaine mein
'ibarat us nazar ki padh rahe hain
koi din se fazaon mein idhar ki
nai tahrir udhar ki padh rahe hain
ghubar-e-rah mein hum jaise-taise
nigahen rahbar ki padh rahe hain
kitab-e-dil ke khali hashiye par
'ibarat apne sar ki padh rahe hain
hamein kaisa maraz achchha rahega
nigahen chaaragar ki padh rahe hain
kitaben apne ghar ki padh rahe hain
kahani to safar ki padh rahe hain
haqiqat rahguzar ki padh rahe hain
labon par hai qasida aasman ka
kharashen baal-o-par ki padh rahe hain
bichha kar apna chehra aaine mein
'ibarat us nazar ki padh rahe hain
koi din se fazaon mein idhar ki
nai tahrir udhar ki padh rahe hain
ghubar-e-rah mein hum jaise-taise
nigahen rahbar ki padh rahe hain
kitab-e-dil ke khali hashiye par
'ibarat apne sar ki padh rahe hain
hamein kaisa maraz achchha rahega
nigahen chaaragar ki padh rahe hain
68651 viewsghazal • English