dard ban ke kabhi gham ban ke satata hi raha apne hone ka wo ehsas dilata hi raha wo kharidar to muddat hui aata hi raha main dukan hiron ki palkon pe sajata hi raha hae wo us ke juda hone ka manzar yarab wo chala bhi gaya main hath hilata hi raha gahri tariki thi sannata tha par ek jugnu raushni ka mujhe ehsas dilata hi raha har naya daur nae le ke charagh aaya kiya ek andhera sa magar zist pe chhata hi raha meri bezar tabiat ko sukun mil na saka yun to har roz teri bazm mein jata hi raha na samajh paya ye insan mazahib ke husul ghar yahan bhai ka khud bhai jalata hi raha ab ke baadal ko khuda jaane hua kya aisa jab bhi barsa to hari fasl jalata hi raha sara din us ke tasawwur se hua ki baaten khwab ban ke meri raaton ko sajata hi raha sher-o-fan us ka hai mamnun dabi aahon mein apne gham se meri ghazlon ko sajata hi raha waqt ke sath badal jata main lekin har pal mera mazi mujhe aaina dikhata hi raha ek masum sa pakiza sa jazba 'hairat' jab bhi bahka to mujhe rah pe lata hi raha