dard-e-ulfat ke bayan ki na zarurat hogi

By shola-kararviNovember 21, 2020
dard-e-ulfat ke bayan ki na zarurat hogi
mere chehre se ayan dil ki haqiqat hogi
kaun fariyaad karega kise jurat hogi
hashr mein pesh-e-nazar jab teri surat hogi


dastan-e-shab-e-hijran ki karun kya tashrih
mukhtasar bhi jo kahunga to tawalat hogi
pesh-e-dawar to karun khun ka dawa lekin
mere qatil ko sar-e-hashr nadamat hogi


dard-e-hijran ke bayan ki nahin mujh ko hajat
un pe zahir dil-e-betab ki haalat hogi
is liye un ke qadam badh nahin sakte aage
rahguzar mein kisi nashad ki turbat hogi


dagh-e-ulfat hain wahi phul ki rafta rafta
jin se kashana-e-dil ki mere zinat hogi
zindagi qalb ki harakat hi se wabasta hai
dil jo thahrega to ek aur qayamat hogi


14159 viewsghazalEnglish