dard hai ranj hai kulfat hai alam hai gham hai
By qamar-malalFebruary 28, 2024
dard hai ranj hai kulfat hai alam hai gham hai
na khuda sath na hamrah sanam hai gham hai
dar-ba-dar mujh ko zamane mein liye phirta hai
ye jo paiwasta mere sath shikam hai gham hai
rahat-e-gham se rakha jis ne sada aasuda
in dinon wo bhi to mail-ba-karam hai gham hai
ab to taus hi awwal hai sinan aakhir hai
daur-e-hazir mein ye taqdir-e-umam hai gham hai
ahl-e-darbar se bezar tha ek tu hi 'malal'
ab tera sar bhi wahan sunte hain kham hai gham hai

95249 viewsghazal • English