dard kab dil mein mehrban na raha

By kaleem-aajizNovember 3, 2020
dard kab dil mein mehrban na raha
han magar qabil-e-bayan na raha
hum jo gulshan mein the bahaar na thi
jab bahaar aai aashiyan na raha


gham garan jab na tha garan tha mujhe
jab garan ho gaya garan na raha
doston ka karam maaz-allah
shikwa-e-jaur-e-dushmanan na raha


bijliyon ko duaen deta hun
dosh par bar-e-ashiyan na raha
97444 viewsghazalEnglish