dard ke daimi rishton se lipat jate hain aks rote hain to shishon se lipat jate hain hae wo log jinhen hum ne bhula rakkha hai yaad aate hain to sanson se lipat jate hain kis ke pairon ke nishan hain ki musafir bhi ab manzilen bhul ke raston se lipat jate hain jab wo rota hai to yak-lakht meri pyas ke hont us ki aankhon ke kinaron se lipat jate hain jab unhen nind panahen nahin deti hain 'asad' khwab phir jagti aankhon se lipat jate hain