dard ki surat mein wo umda sa tohfa de gaya

By sahar-mahmoodNovember 15, 2020
dard ki surat mein wo umda sa tohfa de gaya
bewafa duniya mein jine ka sahaara de gaya
jism hai aazad lekin dil asir-e-ishq hai
kuchh haqiqat de gaya wo kuchh fasana de gaya


sari duniya ek din yun hi fana ho jaegi
jalte jalte ek parwana ishaara de gaya
apne mustaqbil ko raushan karne nikle the magar
shahr ka suraj to aankhon ko andhera de gaya


ho gae kafur sare gham ba-yak-lakht-o-nazar
jab kabhi wo dad ummid-e-tamanna de gaya
kis qadar viran hai us ke bina sara chaman
sochta rahta hun wo kya le gaya kya de gaya


raqs-farma zehn mein hai ab bhi wo surat 'sahar'
jate jate apni yaadon ka khazana de gaya
30310 viewsghazalEnglish