dard kuchh kam na hua apna dawa khane se

By masroor-shahjahanpuriSeptember 20, 2021
dard kuchh kam na hua apna dawa khane se
eatibar uth gaya hamdard dawa-khane se
wo kachahri se bulate hain kabhi thane se
hum bhi wo dhit hain hadke nahin hadkane se


is budhape mein lagaya hai unhon ne surma
baz aate nahin wo ab bhi sitam dhane se
un ke abba ko raqibon ne bahut bhadkaya
wo to achchha hua bhadke nahin bhadkane se


na utha pae wo matka to unhon ne hum ko
kabhi aankhon se pilai kabhi paimane se
wo na jage ki zara jagti taqdir meri
aur sab jag uthe khat ke sarkane se


meri luknat ne mujhe wasl se rakkha mahrum
baat ban ban ke bigadti rahi haklane se
machchharon ne bhi raqibon ki tarah khun piya
hum shab-e-wasl na farigh hue khujlane se


ye na aadat hai hamari na ye fitrat waise
uzr 'masrur' ko hargiz nahin nazrane se
65229 viewsghazalEnglish