dard-mandon se na puchho ki kidhar baiTh gae

dard-mandon se na puchho ki kidhar baith gae
teri majlis mein ghanimat hai jidhar baith gae

hai gharaz did se yan kaam takalluf se nahin
khwah idhar baith gae khwah udhar baith gae

dekha howega mere ashk ka tufan tum ne
lakh diwar gire sainkadon ghar baith gae

kis nazar-naz ne us baz ko bakhshi parwaz
sainkadon murgh hawa phand ke par baith gae

kam hai aawaz tere kuche ke bashindon ki
nala karne se gale un ke magar baith gae

muft uthne ke nahin yar ke kuche se 'faqir'
jab ki bistar ko jama khol kamar baith gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close