dard-o-gham aur bhi hain ranj-o-tab aur bhi hain

dard-o-gham aur bhi hain ranj-o-tab aur bhi hain
qalb zinda ho to saman-e-tarab aur bhi hain

bankpan in mein magar zauq-e-junun ka sa kahan
daftar-e-aql mein go zist ke dhab aur bhi hain

teri nazron hi pe ilzam nahin hai ai dost
kuchh meri khana-kharabi ke sabab aur bhi hain

azmat-e-chaak-e-gareban se to inkar nahin
wahshat-e-dil ke taqaze magar ab aur bhi hain

ghuncha-o-shisha-o-saghar hi pe mauquf nahin
dil ke nam aur bhi hain dil ke laqab aur bhi hain

ai kham-e-gesu-e-jaanan mein ulajhne walo
masale dahr mein tashrih-talab aur bhi hain

dil ka khun hona bhi ek amr-e-tajjub hai magar
ishq mein aise maqamat-e-ajab aur bhi hain

subh-e-nau un pe bhi kuchh lutf-o-karam ho jae
justuju mein teri gham-dida-e-shab aur bhi hain

mere hi nalon pe wo chin-ba-jabin hote hain
warna mahfil mein kai nala-ba-lab aur bhi hain

'mansha' ek tum hi nahin ho gham-e-hasti ke shikar
kitne arbab-e-fan-o-ilm-o-adab aur bhi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close