dard to maujud hai dil mein dawa ho ya na ho bandagi haalat se zahir hai khuda ho ya na ho jhumti hai shakh-e-gul khilte hain ghunche dam-ba-dam ba-asar gulshan mein tahrik-e-saba ho ya na ho wajd mein late hain mujh ko bulbulon ke zamzame aap ke nazdik ba-mani sada ho ya na ho kar diya hai zindagi ne bazm-e-hasti mein sharik us ka kuchh maqsud koi muddaa ho ya na ho kyun ciwil-surgeon ka aana rokta hai ham-nashin is mein hai ek baat honour ki shifa ho ya na ho maulwi sahib na chhodenge khuda go bakhsh de gher hi lenge police wale saza ho ya na ho membari se aap par to warnish ho jaegi qaum ki haalat mein kuchh is se jila ho ya na ho mo'tariz kyun ho agar samjhe tumhein sayyaad dil aaise gesu hun to shubah dam ka ho ya na ho