dariya ho ya pahad ho takrana chahiye jab tak na sans tute jiye jaana chahiye yun to qadam qadam pe hai diwar samne koi na ho to khud se ulajh jaana chahiye jhukti hui nazar ho ki simta hua badan har ras-bhari ghata ko baras jaana chahiye chaurahe bagh buildingen sab shahr to nahin kuchh aise waise logon se yarana chahiye apni talash apni nazar apna tajraba rasta ho chahe saf bhatak jaana chahiye chup chup makan raste gum-sum nidhaal waqt is shahr ke liye koi diwana chahiye bijli ka qumquma na ho kala dhuan to ho ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye