dariya nazar na aae na sahra dikhai de

dariya nazar na aae na sahra dikhai de
josh-e-junun ho jis ko use kya dikhai de

main aa gaya kahan ki ye hasrat nazar ko hai
ai kash is jagah koi apna dikhai de

khandan-jabin labon pe hansi pur-khulus dil
daur-e-tarab mein koi to aisa dikhai de

khwahan hain wo ki sara zamana ho un ke sath
auron ko chahte hain ki tanha dikhai de

'akhtar' ko dekhte nahin achchhi nazar se aap
phir bhi ye chahte hain ki achchha dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close