dars-e-aram mere zauq-e-safar ne na diya mujh ko manzil pe bhi zalim ne thaharne na diya raqs karti rahi tufan mein kashti meri meri himmat ne mujhe par utarne na diya zindagi maut se bad-tar thi par ai wada-e-dost lazzat-e-kashmakash-e-shauq ne marne na diya multafit kal nazar aati thin nigahen un ki kahin dhoka to mujhe meri nazar ne na diya yun to rahne ko pareshani-e-khatir hi rahi teri zulfon ko magar main ne bikharne na diya phul to phul the ai khana-bar-andaz-e-chaman tu ne kanton se bhi daman mujhe bharne na diya inhin alfaz mein hai meri kahani 'afzal' gham ne jine na diya shauq ne marne na diya