darta hun kahin ai dost mere ye pyar mera badnam na ho jis tarah se tute lakhon dil apna bhi wahi anjam na ho ye zalim duniya hai sathi kab do dil milne deti hai aisi hi talkh judai ki ab apni koi sham na ho hain bich mein kitni diwaren mazhab ki samajon rasmon ki is qaid mein hum bhi dam toden qismat mein yahi inam na ho ulfat ke hath thamaya hai duniya ne zahr ka paimana kitnon ne piya ye jam-e-sam apne bhi liye ye jam na ho badnam hai har pahchan yahan hai jurm yahan har ek rishta ek roz hamare sar 'bismil' aisa hi koi ilzam na ho