Darte hain chashm o zulf o nigah o ada se hum

By dagh-dehlviOctober 29, 2020
darte hain chashm o zulf o nigah o ada se hum
har dam panah mangte hain har bala se hum
mashuq ja-e-hur mile mai bajae aab
mahshar mein do sawal karenge khuda se hum


gar tu kisi bahane aa jae waqt-e-naza
zalim karen hazar bahane qaza se hum
go haal-e-dil chhupate hain par is ko kya karen
aate hain khud-ba-khud nazar ek mubtala se hum


na-chaar ikhtiyar kiya shewa-e-raqib
kuchh be-hayai khub hain guzre haya se hum
mangi na hogi khizr ne yun umr-e-jawedan
kya apni maut mangte hain iltija se hum


dekhen to pahle kaun mite us ki rah mein
baithe hain shart bandh ke har naqsh-e-pa se hum
majbur apni shewa-e-sharm-o-haya se tum
na-chaar iztirab-e-dil-e-mubtala se hum


ye aarzu hai aankh mein surma lagaenge
ai 'dagh' khak-e-pa-e-rasul-e-khuda se hum
67734 viewsghazalEnglish