darwaza band dekh ke mere makan ka jhonka hawa ka khidki ke parde hila gaya wo jaan-e-nau-bahaar jidhar se guzar gaya pedon ne phul patton se rasta chhupa liya us ke qarib jaane ka anjam ye hua main apne-ap se bhi bahut dur ja pada angdai le rahi thi gulistan mein jab bahaar har phul apne rang ki aatish mein jal gaya kante se tutte hain mere ang ang mein rag rag mein chand jalta hua zahr bhar gaya aankhon ne us ko dekha nahin is ke bawajud dil us ki yaad se kabhi ghafil nahin raha darwaza khatkhata ke sitare chale gae khwabon ki shaal odh ke main unghta raha shab chandni ki aanch mein tap kar nikhar gai suraj ki jalti aag mein din khak ho gaya sadken tamam dhup se angara ho gain andhi hawaen chalti hain in par barhana-pa wo aae thodi der ruke aur chale gae 'adil' main sar jhukae hue chup khada raha