darwaza to band kiya hai aali-jah
By wasim-nadirJanuary 5, 2024
darwaza to band kiya hai 'ali-jah
waqt magar sab dekh raha hai 'ali-jah
bahar kitna hangama hai 'ali-jah
lekin aap ko kya karna hai 'ali-jah
dard wahi zanjir wahi diwar wahi
'ishq se aakhir jhagda kya hai 'ali-jah
raj-mahal ki surkhi kam hoti hi nahin
buniyaadon mein khun bhara hai 'ali-jah
taj utaro mansab chhodo bahar aao
shahzade ka hukm hua hai 'ali-jah
ghaur se dekho banjaran ki aankhon mein
ek pura sansar basa hai 'ali-jah
waqt magar sab dekh raha hai 'ali-jah
bahar kitna hangama hai 'ali-jah
lekin aap ko kya karna hai 'ali-jah
dard wahi zanjir wahi diwar wahi
'ishq se aakhir jhagda kya hai 'ali-jah
raj-mahal ki surkhi kam hoti hi nahin
buniyaadon mein khun bhara hai 'ali-jah
taj utaro mansab chhodo bahar aao
shahzade ka hukm hua hai 'ali-jah
ghaur se dekho banjaran ki aankhon mein
ek pura sansar basa hai 'ali-jah
43731 viewsghazal • English