darwazon par din bhar ki thakan tahrir hui mere shahr ki shab har chaukhat ki zanjir hui sab dhup utar gai tuti hui diwaron se magar ek kiran mere khwabon mein asir hui mera suna ghar mere sine se lag kar rota hai mere bhai tumhein is bar bahut takhir hui hamein ranj bahut tha dasht ki be-imkani ka lo ghaib se phir ek shakl zuhur-pazir hui koi hairat mere lahje ki pahchan bani koi chahat mere lafzon ki tasir hui is dard ke qatil-manzar ko ilzam na do ye to dekhne wali aankhon ki taqsir hui kisi lashkar se kahin bahta pani rukta hai kabhi ju-e-rawan kisi zalim ki jagir hui phir lauh pe lutne wale khazane likhe gae mujhe ab ke baras bhi daulat-e-jaan taqdir hui