dasht aise gulshan mein gul pe gul khilane ki har ada mubarak ho nannhe-munhe ghunchon se khud-kushi karane ka mashghala mubarak ho par-burida bulbul ne jis jagah bhi tinkon se ghonsle banae the wo chaman jalane ko ab bhi tere hathon mein saiqa mubarak ho tu ne jin bechaaron ke kam-sinon ki lashon par pa-e-takht rakkhe hain un ke jism-e-uryan par tere jabr-e-be-ja ka dabdaba mubarak ho khun baha chuka ab tak to jawan parindon ka chat lag chuki tujh ko ab se shir-khwaron ke taza khun-e-arzan ka zaiqa mubarak ho sufiyon buzurgon ne naqsh-e-pa jo chhode the sab mita diye tu ne waqt ke darinde ab kusht-o-khun ka ek ek rasta mubarak ho jabr-e-mujrimana se tu chaman pe qabiz hai ab bhi tasfiya kar le warna gulsitan tera kal jahan ke naqshe par sar kata mubarak ho