dasht-e-gham tanhai aur virani-e-jaan rah gaya dosto bas ab yahi jine ka saman rah gaya mukhtasar hoti gai kuchh is qadar sharh-e-hayat meri palkon par faqat ek ashk larzan rah gaya ud chuke sare parinde ja chuki fasl-e-bahaar zard patton se dhaka viran maidan rah gaya us ki yaadon ko mita paya na apne zehn se jaane wale ka yahi bas mujh pe ehsan rah gaya wo adhure git ka mukhda hi ban paya 'matin' main use naghma banata dil mein arman rah gaya