dasht-e-junun mein jalwa-e-KHuban ki justuju

By shabnam-kamaliMay 14, 2021
dasht-e-junun mein jalwa-e-khuban ki justuju
kitni ajib hai dil-e-nadan ki justuju
guzri thi zulf-e-yar se ho kar nasim-e-shauq
ab tak hai us ki bu-e-pareshan ki justuju


hairat-zada hun dekh ke ye inqalab-e-nau
hai shakh-e-gul ko aaj gulistan ki justuju
lije fana ka dars patangon ki khak se
aasan nahin hai sham-e-farozan ki justuju


'shabnam' ki aankhen raaton ko roti hain is liye
hoti hai us ko mehr-e-darakhshan ki justuju
12878 viewsghazalEnglish