dasht-e-takhaiyyulat mein jab bhi safar hua jaane kahan kahan se hamara guzar hua logo ki talkhiyon ka kuchh aisa asar hua dil ke har ek goshe mein raqs-e-sharar hua us ki taraf se main to hua be-khabar magar meri taraf se wo na kabhi be-khabar hua bigdi hai aisi shakl hawadis ki mar se hairan aaina bhi mujhe dekh kar hua ek bar hi to kandhe pe rakkha tha us ne sar phir aisa ittifaq kahan umr bhar hua jis ki nazar mein wusat-e-khwab-o-khayal thi us ka wajud markaz-e-ahl-e-nazar hua pahle to ek makan ki surat hi tha faqat tashrif aap lae to ghar mera ghar hua us ko hamari dasht-nawardi se hai khushi is se gharaz nahin ki koi dar-ba-dar hua sab ki samajh mein aata kahan hai ye ilm-o-fan jis ne samajh liya use wo dida-war hua 'rahbar' tawil umr bhi jine se faiz kya kuchh maqsad-e-hayat na pura agar hua