dasht-e-ulfat mein bhaTakta hua aahu tu hai

By ustad-vajahat-husain-khanJanuary 5, 2024
dasht-e-ulfat mein bhatakta hua aahu tu hai
main hun raihan-e-mohabbat meri khushbu tu hai
dhup mein mere liye sard hawa ka jhonka
aur raaton mein chamakta hua jugnu tu hai


gham-e-dil ka koi 'unwan nahin ho sakta
is fasane ka jo raushan hai wo pahlu tu hai
tu ne bakhsha hai har ek chiz ko paikar ya-rab
rakhne wala bhi har ek chiz pe qabu tu hai


mujh ko hai teri karimi pe bharosa ya-rab
mera khaliq mera aaqa mera shahu tu hai
teri ye shan-e-hama-giri koi kya samjhe
'arsh pe jalwa-fagan farsh pe har-su tu hai


maghribi shor-sharabe hain andhere 'daem'
ahl-e-mausiqi hai sangit ka jugnu tu hai
94898 viewsghazalEnglish