dasht-e-wahshat ko faqat qais hi bhaya hua hai
By khalid-moinNovember 3, 2020
dasht-e-wahshat ko faqat qais hi bhaya hua hai
hum ne bhi ishq ka aazar uthaya hua hai
sar-kashi mauj-e-hawa ki
ye kahan samjhegi
kis mashaqqat se diya hum ne jalaya hua hai
kaise gulfam kahun
kaise sitara samjhun
wo badan aur hi mitti ka banaya hua hai
mauj-e-khushbu ki tarah hath na aane wale
hum ne ek sath bahut waqt bitaya hua hai
aap ise kasa-e-tashhir samajh baithe hain
hum ne ek umr se ye zakhm chhupaya hua hai
kash wo chashm-e-gurezan bhi kabhi jaan sake
hum ko kis khwab ki wahshat ne jagaya hua hai

60504 viewsghazal • English