dasht ki tez hawaon mein bikhar jaoge kya

dasht ki tez hawaon mein bikhar jaoge kya
ek din ghar nahin jaoge to mar jaoge kya

ped ne chand ko aaghosh mein le rakkha hai
main tumhein rokna chahun to thahar jaoge kya

ye zamistan-e-ta'alluq ye hawa-e-qurbat
aag odhoge nahin yunhi thithar jaoge

ye takallum bhari aankhen ye tarannum bhare hont
tum isi haalat-e-ruswai mein ghar jaoge kya

laut aaoge mere pas parinde ki tarah
meri aawaz ki sarhad se guzar jaoge kya

chhod kar naw mein tanha mujhe 'asim' tum bhi
kisi gumnam jazire pe utar jaoge kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close