dasht se patthar uTha kar shahr mein lae ho kyon

dasht se patthar utha kar shahr mein lae ho kyon
ye lahu mangenge tum se khud pe itrae ho kyon

khushk hai dil ka kanwal sanson mein gham ki aag hai
jab barasna hi nahin hai baadalon chhae ho kyon

mai ke saghar hain agar gham ko mitane ka ilaj
ai nae mausam ke phulo pi ke murjhae ho kyon

ab to khamoshi tumhaari khar si chubhne lagi
chup hi rahna tha batao phir yahan aae ho kyon

shab ki mari bastiyon ke har dar-o-diwar par
dhup to suraj ki hai tum khud pe itrae ho kyon

hath mein hai hath mausam mast-e-gul mahke hue
dekhne par mere phir tum mujh se sharmae ho kyon

ye hain aisi wadiyan dariya bhi hain jin ke sarab
log hain pyase yahan 'asrar' tum aae ho kyon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close