dast-bardar hua main bhi talabgari se ab kahin ja ke ifaqa hua bimari se khak mein khud ko milaya to jaden pai hain kaise rokega koi mujh ko numudari se tut hi jate hain ikhlas ke putle aakhir so mujhe bach ke nikalna hai adakari se ab bhi kuchh chizen hain bazar mein jo aai nahin ab bhi munkir hai koi meri kharidari se hum akahre kabhi bar-waqt samajh pate nahin kaam kar jata hai chup-chap wo tahdari se dil-e-nadan ulat deta hai akasr ye bisat aql yun chaal bahut chalti hai ayyari se jab achanak hi har ek faisla hona hai yahan mujh ko bhi koi ilaqa nahin tayyari se sakht-jaani ke mile kitne hi eazaz mujhe aur milta bhi kya ummid ki be-zari se jalta upar se hun andar se nikharta hun 'suhail' khud ko yun aag lagata hun main fankari se