dast-e-daman dua rahe na rahe hum chale ab wafa rahe na rahe main fana ki dagar pe hun yaro ab kisi ki saza rahe na rahe aaine tum to mere sath raho mujh mein chahe ada rahe na rahe jalna qismat mein hai to jalna hai chhat pe koi ghata rahe na rahe panw nange hain har tamanna ke sar pe ab ke rida rahe na rahe ho gai jo khata to ab ke baras mujh mein koi khata rahe na rahe jal gai bagh ki umiden bhi ab gulon mein faza rahe na rahe mere zakhmon ke dast-e-daman mein dard ki ab dawa rahe na rahe bujh gae dip sab wafaon ke sahn mein ab hawa rahe na rahe farq padta hai kya bhala mujh ko us ke dil mein dagha rahe na rahe alamiye khub hum ne jhele hain dar nahin alamiya rahe na rahe girya-o-gham ke aaine mein hain aks mein ab aza rahe na rahe mere pahlu se aag hai lipti sar pe baad-e-saba rahe na rahe lab khule hain to kuchh suno pal-bhar kyun ke phir ye gila rahe na rahe ab na lautenge phir kabhi 'mariyam' mere pichhe sada rahe na rahe