dast-e-KHirad se parda-kushai na ho saki

By tilok-chand-mahroomNovember 23, 2020
dast-e-khirad se parda-kushai na ho saki
husn-e-azal ki jalwa-numai na ho saki
rang-e-bahaar de na sake kharzar ko
dast-e-junun mein aabla-sai na ho saki


ai dil tujhe ijazat-e-fariyaad hai magar
ruswai hai agar shunawai na ho saki
mandir bhi saf hum ne kiye masjiden bhi pak
mushkil ye hai ki dil ki safai na ho saki


fikr-e-maash o ishq-e-butan yaad-e-raftagan
in mushkilon se ahd-barai na ho saki
ghafil na tujh se ai gham-e-uqba the hum magar
dam-e-gham-e-jahan se rihai na ho saki


munkir hazar bar khuda se hua bashar
ek bar bhi bashar se khudai na ho saki
khud zindagi burai nahin hai to aur kya
'mahrum' jab kisi se bhalai na ho saki


17726 viewsghazalEnglish