dast-e-qatil mein koi tegh na KHanjar hota

By badr-e-alam-khan-azmiJanuary 2, 2024
dast-e-qatil mein koi tegh na khanjar hota
mera saya jo mere qad ke barabar hota
mera dushman bhi mere qad ke barabar hota
kash kandhe pe mere ek 'adad sar hota


ye haqiqat hai sarabon mein machaltin lahren
dasht agar dasht na hota to samundar hota
us ke khanjar se lipat jate sunahre alfaz
hakim-e-shahr agar ek sukhanwar hota


main yun be-kar na hota kisi patthar ki tarah
waqt ke pas agar tesha-e-azar hota
wo to kahiye ki hai parwaz-e-takhayyul se pare
warna yazdan bhi kisi tir ki zad par hota


63835 viewsghazalEnglish