dastan-e-hijr kya hai KHun-chakan tere baghair

By mazharul-qayyum-mazharJanuary 18, 2022
dastan-e-hijr kya hai khun-chakan tere baghair
ek pal hai sau baras ai jaan-e-jaan tere baghair
kya sunaun haal-e-dil ai mahw-e-khwab-e-izz-o-naz
ho chuki hai zindagi waqf-e-fughan tere baghair


didani hai husn-e-fitrat par hamare waste
ye bahaar-e-ruh-parwar hai khizan tere baghair
hai shumar-e-amad-o-raft-e-nafas ka mashghala
ban gai hai zindagi ek chistan tere baghair


tujh se kya chhute ki hum sare jahan se chhut gae
ho gae hain yusuf-e-be-karwan tere baghair
ye shab-e-furqat to kate se bhi katne ko nahin
ruk gai ho jaise ye umr-e-rawan tere baghair


khauf lagta hai mujhe lillah tu bhi sath chal
mil raha hai khak mein ek naujawan tere baghair
aa ki duniya muntazir hai kab se istiqbaal ko
har zaban par al-aman hai ai aman tere baghair


misl-e-tuti kal chahakta tha wo bazm-e-naz mein
aaj gum hai 'mazhar'-e-shirin-zaban tere baghair
17246 viewsghazalEnglish