daur-e-hayat aaega qatil qaza ke baad

By January 1, 2017
daur-e-hayat aaega qatil qaza ke baad
hai ibtida hamari teri intiha ke baad
jina wo kya ki dil mein na ho teri aarzu
baqi hai maut hi dil-e-be-muddaa ke baad


tujh se muqable ki kise tab hai wale
mera lahu bhi khub hai teri hina ke baad
ek shahr-e-arzu pe bhi hona pada khajil
hal-mimmazid kahti hai rahmat dua ke baad


lazzat hanuz maida-e-ishq mein nahin
aata hai lutf-e-jurm-e-tamanna saza ke baad
qatl-e-husain asl mein marg-e-yazid hai
islam zinda hota hai har karbala ke baad


ghairon pe lutf hum se alag haif hai agar
ye be-hijabiyan bhi hon uzr-e-haya ke baad
mumkin hai nala jabr se ruk bhi sake agar
hum par to hai wafa ka taqaza jafa ke baad


hai kis ke bal pe hazrat-e-'jauhar' ye ru-kashi
dhundenge aap kis ka sahaara khuda ke baad
97896 viewsghazalEnglish