dawa ke nam se haalat KHarab hoti hai
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
dawa ke nam se haalat kharab hoti hai
'ilaj se meri sehat kharab hoti hai
jab aur mujh pe masiha tawajjoh deta hai
kuchh aur meri tabi'at kharab hoti hai
charagh-e-rah ke bujhne se kuchh nahin hota
pa sham-e-ku-e-malamat kharab hoti hai
ye soch kar nahin koi jahan ka malik
kabhi kabhi meri niyyat kharab hoti hai
khuda ke waste tafriq-o-jam' kar na yahan
faza-e-shahr-e-mohabbat kharab hoti hai
ye kar-e-'ishq hai yan ek ghadi ki ghaflat se
tamam 'umr ki mehnat kharab hoti hai
dayar-e-'ishq mein milti hai surkh-rui use
ki jis ki jitni bhi 'izzat kharab hoti hai

98781 viewsghazal • English