de uthi lau jo tere sath guzari hui sham hujra-e-jaan ki har ek chiz pe tari hui sham umr bhar dhup lapete rahe apne tan par hum se pahni na gai us ki utari hui sham pahle to mujh se meri zat ka matlab puchha aur phir apne hi ehsas se aari hui sham ai junun puchh isi lamha-e-maujud se puchh lams ye kis ka uthaya hai ki bhaari hui sham do hi kirdar numayan hain kahani mein meri be-karan dasht hua main to shikari hui sham is taraf dasht-e-badan mein koi suraj duba us taraf sina-e-aflak se jari hui sham main nasen kat ke suraj mein utar hi jata par khayal aaya tera hijr ki mari hui sham kya faqat hum se sawalat kiye jaenge kya faqat hum se mukhatib hai ye haari hui sham hum ne har shai mein utarte hue dekha khud ko yaad aai jo tere qurb pe wari hui sham