dekh kar dil-kashi zamane ki

By abdul-hamid-adamApril 23, 2024
dekh kar dil-kashi zamane ki
aarzu hai fareb khane ki
ai gham-e-zindagi na ho naraaz
mujh ko aadat hai muskurane ki


zulmaton se na dar ki raste mein
raushni hai sharab-khane ki
aa tere gesuon ko pyar karun
raat hai mashalen jalane ki


kis ne saghar 'adam' buland kiya
tham gain gardishen zamane ki
43311 viewsghazalEnglish