dekh kar joban tera kis kis ko hairani hui

By dagh-dehlviOctober 29, 2020
dekh kar joban tera kis kis ko hairani hui
is jawani par jawani aap diwani hui
parde parde mein mohabbat dushman-e-jaani hui
ye khuda ki mar kya ai shauq-e-pinhani hui


dil ka sauda kar ke un se kya pashemani hui
qadr us ki phir kahan jis shai ki arzani hui
mere ghar us shokh ki do din se mehmani hui
bekasi ki aaj kal kya khana-virani hui


tark-e-rasm-o-rah par afsos hai donon taraf
hum se nadani hui ya tum se nadani hui
ibtida se intiha tak haal un se kah to dun
fikr ye hai aur jo kah kar pashemani hui


gham qayamat ka nahin waiz mujhe ye fikr hai
din kab baqi raha duniya agar fani hui
tum na shab ko aaoge ye hai yaqin aaya hua
tum na manoge meri ye baat hai mani hui


mujh mein dam jab tak raha mushkil mein the timardar
meri aasani se sab yaron ki aasani hui
is ko kya kahte hain utna hi badha shauq-e-visal
jis qadar mashhur un ki pak-damani hui


bazm se uthne ki ghairat baithne se dil ko rashk
dekh kar ghairon ka majma kya pareshani hui
dawa-e-taskhir par ye us pari-wash ne kaha
aap ka dil kya hua mohr-e-slemani hui


khul gain zulfen magar us shokh mast-e-naz ki
jhumti baad-e-saba phirti hai mastani hui
main sarapa sajde karta us ke dar par shauq se
sar se pa tak kyun na peshani hi peshani hui


dil ki qalb-e-mahiyat ka ho use kyunkar yaqin
kab hawa mitti hui hai aag kab pani hui
aate hi kahte ho ab ghar jaenge achchhi kahi
ye masal puri yahan man-mani ghar jaani hui


arsa-e-mahshar mein tujh ko dhund laun to sahi
koi chhup sakti hai jo surat ho pahchani hui
dekh kar qatil ka khali hath bhi ji dar gaya
us ki chin-e-astin bhi chin-e-peshani hui


kha ke dhoka us but-e-kamsin ne daman mein liye
ashk-afshani bhi meri gauhar-afshani hui
bekasi par meri apni tegh ki hasrat to dekh
chashm-e-jauhar bhi ba-shakl-e-chashm-e-hairani hui


bekasi par 'dagh' ki afsos aata hai hamein
kis jagah kis waqt us ki khana-virani hui
35608 viewsghazalEnglish