dekh le KHud hi koi lauT ke jate hue hath

By aarif-nazeerJuly 12, 2024
dekh le khud hi koi laut ke jate hue hath
sharm aati hai zara hum ko badhate hue hath
kya khabar tum ko ki kya dil pe guzarti hai mere
jin se dil milta nahin un se milate hue hath


tujh ko banhon mein bharun chhod ke jaane wale
tujh ko rukhsat bhi karun hae hilate hue hath
us ne barfab se hathon se jo thama mujh ko
mere galon pe lagi aag lagate hue hath


sab ne dekha tha faqat hum ko bichhadte lamhe
rab ne dekha tha hamein sath uthate hue hath
hum ne pakda nahin bohtan-zabanon ko kabhi
hum ne tode hi nahin ungli uthate hue hath


jab kiya ghaur kabhi khud ki zabun-haali par
jism ki samt badhe sae se aate hue hath
girte dushman ko bhi hum jhat se utha lete hain
hum se rukte hi nahin hath badhate hue hath


us ka shisha sa badan aur main patthar 'arif'
dar to lagta hai zara us ko lagate hue hath
30699 viewsghazalEnglish