dekh leta main bhi jalwa sho’la-e-ruKHsar ka
By basir-tonkiJanuary 2, 2024
dekh leta main bhi jalwa sho’la-e-rukhsar ka
rah gaya dil mein mere arman visal-e-yar ka
mah-washon mein wo hai yakta barq hai us ki ada
qabil-e-tahsin hai jalwa us jamal-e-yar ka
ek jhalak dikhla ke wo ru-posh mujh se ho gaya
dil tadap kar rah gaya phir shauq hai didar ka
raund dale saikdon ke dil khiram-e-naz se
har taraf charcha hai un ke fitna-e-raftar ka
kaun munis tha shab-e-gham mein jo karta dil-dahi
dard hi munis bana uth kar tere bimar ka
iztirab-e-dil mera 'basir' hua had se siwa
jab nazar ke samne aaya wo jalwa yar ka

20229 viewsghazal • English