dekh mahrumi ki barakat zinda hun main tere gham ki badaulat zinda hun jannaten hain murda jismon ke liye ye saza hai ya inayat zinda hun is khizan mein kante tak bhi mar chuke phir bhi kahti hai wo nikhat zinda hun sach hai duniya nafraton ki hai magar main yahan bhi ba-mohabbat zinda hun likh rakhe hain main ne bhi fazl-e-azab malik-e-roz-e-qayamat zinda hun