dekh pai na mere sae mein chalta saya aa gai raat uthane mera dhalta saya tum ne achchha hi kiya chhod gae waise bhi ek sae se bhala kaise sambhalta saya main wahi hun mera saya bhi wahi hai ab tak main badalta to koi rang badalta saya main ne is waste munh kar liya suraj ki taraf mujh se dekha na gaya aage nikalta saya aaj bhi baitha hun gum-sum pas-e-diwar-e-ana mujh se lipta hai teri yaad ka jalta saya tujh pe guzri hi nahin wahshat-e-sham-e-hijran tu ne dekha hi nahin ped nigalta saya